A Long Distance Relationship Poem
There are many people who are in a long distance relationship… few who are fearing to move into one, and few who have successfully crossed this phase, and few who couldn’t!
This is the first time I’m writing here in Hindi (typed in English)! ЁЯЩВ I hope you like it! This is not for everyone so read it at your own risk! ЁЯША
Kuch kuch aati hain raaten,
Jb baat nai hoti.
Phone pe to hoti h wo,
But kehne ko kuch baat nai hoti.
Dar bahut hota h door rehne pe.
Ek tarfa soch ye sochne pe majboor kr deti hai
Ki ab na ho paega shayad.
Kya hmaare paas ab baat nai kuch krne ko?
Kya sab badal raha hai?
Kya wo badal gya hai?
Kya nae dost ban gae uske?
Kya wo saari baate unse hi krta hai?
Jab door ja rahe the hum,
To wada kiya tha masoom sa.
Ki kisi ko bhi bahut paas nahi aane denge.
Dost to ban hi jate hain, but sab kuch raat me tmhe hi btaenge.
Fir baat kyun nahi aaj kuch krne ko?
Kya isko koi or pasand aa gaya hai?
Kya kuch common nai ab hmaare beech?
Jiski boli ki gaadi kabhi rukti hi nai hai wo aaj “hmmm” or “aur batao” k beech aa k tham si gai hai.
Itna kuch dono k mann ne do pal me soch liya,
4 saal ki jaan pehchan ko in do palon ne anjaan kr diya.
Mushkil samay hai pehli baar door rehna,
Sabr rakho din kat jaenge, dono ne ek doosre se chaha kehna.
Par us raat khamosh rahe.
Fir baaki k do saalo me aai kai aisi raaten,
Call timer to chal ra tha, par nahi ho rai thi baaten.
Fir dono k samajh aya, ki zaruri nai hai har din bolna,
Call timer isliye chal ra tha, kyunki abhi bhi saath tha dono ko rehna.
Nahi to aaj bhi kyun phone utha k, wo number milaate,
Kyun phone pe uska naam dekh k muskurate.
Kuch din khaamoshiyan bhi zaroori hoti hain,
Kuch din tanhaaiyan bhi zaruri hoti hain.
Andhera na hoga to roshni ki zarurat kise mehsoos hogi?
Or dooriyan na hongi to nazdikiyon ki zarurat kaise mahsoos hogi??
I hope you were thinking about your own old times and understanding the value of each and every moment of your own relationship! <3
All the best for your long distance relationship! Stay Happy and Healthy! ЁЯЩВ
Liked it? Read few more poems:
Tu kaise samajh leti thi mujhe maa
No Responses